dasht
aabaad banaa baitha hai
woh yaar jahaan jahaan baitha hai
woh yaar jahaan jahaan baitha hai
khwaab
toh ud chuke the kab ke par
eh
tere aankh pe kya baitha hai
chehere
se yeh pataa chalta hai
dil
mein ik raaz chhupa baitha hai
thami
hai zoron ki baarish, ab bass
hawa
ke paas dhuaan baitha hai
aankh
se pyaas bujha sakta tha
kamwaqt
dil bhi laga baitha hai
ussi
ke dil mein kuchh khalal si hai
wohi,
jo sab se juda baitha hai
hai
yeh mehfil naqaabwaalon ki
kya
pataa kaun kahaan baitha hai
har
ek pet mein palta hai bhookh
toh
kya ke dil mein khuda baitha hai
tujh
se achcha bhi tujh mein hai maazi
tujh
hi mein tujh se bura baitha hai