Friday, August 31, 2012

apne apne dhande mein

apne apne dhande mein sab hote hain
milnewaale kab bematlab hote hain

mil jaate hain log haseen mujhko lekin
tum se achchhe tum jaise kab hote hain

baalishton mein baat rakkho toh pataa chale
kin lavzon ke kaise matlab hote hain

kuchh logon mein faaslaa jaari rakhna
sarhad ke bhi apne mazhab hote hain

subah ki chaadar odh ke chal padte hain log
haadse toh varna har shab hote hain

halki halki baarish hoti raheti hai
aap ke aalam mein hum jab hote hain

naa peete toh pyaas nahin lagti maazi
jo peete hain woh tishnaalab hote hain

 

 

 

 

Thursday, August 30, 2012

dil jalaane dijiye

dil jalaane dijiye
gham ko maane dijiye

jal rahaa hai umr bhar
ab bujhaane dijiye

waqt hai uljha hua
beet jaane dijiye

khushk hain lab shaher ke
kuchh fasaane dijiye

ik ghazal hai honth par
gungunaane dijiye

parindon ka kya kasoor
aur daane dijiye

aankh ko kya kosna
dil ko taane dijiye

ek aansoo shaam ka
jhilmilaane dijiye

saaf kahiye jo bhi hai
kyun bahaane dijiye

lijiye kuchh din naye
khat puraane dijiye

dil ki fitrat ekbaar
aazmaane dijiye

maazi hai dar par khada
ab toh aane dijiye