Friday, August 31, 2012

apne apne dhande mein

apne apne dhande mein sab hote hain
milnewaale kab bematlab hote hain

mil jaate hain log haseen mujhko lekin
tum se achchhe tum jaise kab hote hain

baalishton mein baat rakkho toh pataa chale
kin lavzon ke kaise matlab hote hain

kuchh logon mein faaslaa jaari rakhna
sarhad ke bhi apne mazhab hote hain

subah ki chaadar odh ke chal padte hain log
haadse toh varna har shab hote hain

halki halki baarish hoti raheti hai
aap ke aalam mein hum jab hote hain

naa peete toh pyaas nahin lagti maazi
jo peete hain woh tishnaalab hote hain

 

 

 

 

No comments:

Post a Comment