Tuesday, September 18, 2012

kab samhalta hai dil bhigone se

kab samhalta hai dil bhigone se
ab bhi dukhta hai gham chubhone se

chup se rehte ho log kehte hain
kya mila tum ko door hone se

khel badlo toh kuchh mazaa aaye
dil bahelta nahi khilone se

subah dil kaam mein nahin lagta
aajkal raatbhar na sone se

aankhein dukhti hai, dil pighalta hai
faayda kya hai aur rone se

jism sukha hai muddaton se yahaan
kya milega libaas dhone se

saans ka taar toot jaayega
aur ek haadsa pirone se

kya tha kab tha woh kaun tha maazi
kho gaya baarbaar khone se

Monday, September 10, 2012

sochiye toh gham se darna chahiye

sochiye toh gham se darna chahiye
dekhiye toh aankh bharna chahiye

sochta hoon aate jaate roz main
ussey jaake baat karna chahiye

saikdon chehre gine hai aankh ne
dil hi jaane kis pe marna chahiye

tum mile toh kuchh nahi chahta hoon main
saari duniya mujhko varna chahiye

khwaahishon ko paalo matt maazi yahaan
jo bhi hai sab kar guzarna chahiye

Sunday, September 9, 2012

aisa kyun hai

aisa kyun hai, meetha dil chakhta nahi
uski roti mere ghar pakta nahi

ek parchi bhej do us naam ki
ya ke kahe do, yeh bhi ho sakta nahi

ab jo sardi hai rahegi umr bhar
yeh kafan hai, saara tann dhakta nahi

ek waada hai kisi ka, yaad hai
varna koi raasta takta nahi

is shahr mein woh rahega kya bhala
aap se jo waasta rakhta nahi

likh rahe the, ke hawa ne chheen li
ik adhuree si ghazal, makhta nahi

tum mein woh kya baat hai ke raat din
tum se baatein karte main thakta nahi

ik padosi hai mera, chupchap hai
main bhi uske saamne bakta nahi

maazi hai kuchh be-adab sa in dinon
par yeh mat kahena ke woh yakta nahi

Tuesday, September 4, 2012

hum ko yaadein bona tha

hum ko yaadein bona tha
aur ek gaanth pirona tha

jaane kyun hans deta hoon
tum se mil kar rona tha

yaad ki sard hatheli par
chaadar ka ik kona tha

baarish aur badhegi ab
aise tum ko khona tha

jaisa jaisa darte the
waisa waisa hona tha

toot gaya toh rakhna kya
par dilchasb khilona tha

sadkein jaagi rehti thi
maazi ko kab sona tha