Sunday, September 9, 2012

aisa kyun hai

aisa kyun hai, meetha dil chakhta nahi
uski roti mere ghar pakta nahi

ek parchi bhej do us naam ki
ya ke kahe do, yeh bhi ho sakta nahi

ab jo sardi hai rahegi umr bhar
yeh kafan hai, saara tann dhakta nahi

ek waada hai kisi ka, yaad hai
varna koi raasta takta nahi

is shahr mein woh rahega kya bhala
aap se jo waasta rakhta nahi

likh rahe the, ke hawa ne chheen li
ik adhuree si ghazal, makhta nahi

tum mein woh kya baat hai ke raat din
tum se baatein karte main thakta nahi

ik padosi hai mera, chupchap hai
main bhi uske saamne bakta nahi

maazi hai kuchh be-adab sa in dinon
par yeh mat kahena ke woh yakta nahi

No comments:

Post a Comment