Tuesday, September 18, 2012

kab samhalta hai dil bhigone se

kab samhalta hai dil bhigone se
ab bhi dukhta hai gham chubhone se

chup se rehte ho log kehte hain
kya mila tum ko door hone se

khel badlo toh kuchh mazaa aaye
dil bahelta nahi khilone se

subah dil kaam mein nahin lagta
aajkal raatbhar na sone se

aankhein dukhti hai, dil pighalta hai
faayda kya hai aur rone se

jism sukha hai muddaton se yahaan
kya milega libaas dhone se

saans ka taar toot jaayega
aur ek haadsa pirone se

kya tha kab tha woh kaun tha maazi
kho gaya baarbaar khone se

Monday, September 10, 2012

sochiye toh gham se darna chahiye

sochiye toh gham se darna chahiye
dekhiye toh aankh bharna chahiye

sochta hoon aate jaate roz main
ussey jaake baat karna chahiye

saikdon chehre gine hai aankh ne
dil hi jaane kis pe marna chahiye

tum mile toh kuchh nahi chahta hoon main
saari duniya mujhko varna chahiye

khwaahishon ko paalo matt maazi yahaan
jo bhi hai sab kar guzarna chahiye

Sunday, September 9, 2012

aisa kyun hai

aisa kyun hai, meetha dil chakhta nahi
uski roti mere ghar pakta nahi

ek parchi bhej do us naam ki
ya ke kahe do, yeh bhi ho sakta nahi

ab jo sardi hai rahegi umr bhar
yeh kafan hai, saara tann dhakta nahi

ek waada hai kisi ka, yaad hai
varna koi raasta takta nahi

is shahr mein woh rahega kya bhala
aap se jo waasta rakhta nahi

likh rahe the, ke hawa ne chheen li
ik adhuree si ghazal, makhta nahi

tum mein woh kya baat hai ke raat din
tum se baatein karte main thakta nahi

ik padosi hai mera, chupchap hai
main bhi uske saamne bakta nahi

maazi hai kuchh be-adab sa in dinon
par yeh mat kahena ke woh yakta nahi

Tuesday, September 4, 2012

hum ko yaadein bona tha

hum ko yaadein bona tha
aur ek gaanth pirona tha

jaane kyun hans deta hoon
tum se mil kar rona tha

yaad ki sard hatheli par
chaadar ka ik kona tha

baarish aur badhegi ab
aise tum ko khona tha

jaisa jaisa darte the
waisa waisa hona tha

toot gaya toh rakhna kya
par dilchasb khilona tha

sadkein jaagi rehti thi
maazi ko kab sona tha

Friday, August 31, 2012

apne apne dhande mein

apne apne dhande mein sab hote hain
milnewaale kab bematlab hote hain

mil jaate hain log haseen mujhko lekin
tum se achchhe tum jaise kab hote hain

baalishton mein baat rakkho toh pataa chale
kin lavzon ke kaise matlab hote hain

kuchh logon mein faaslaa jaari rakhna
sarhad ke bhi apne mazhab hote hain

subah ki chaadar odh ke chal padte hain log
haadse toh varna har shab hote hain

halki halki baarish hoti raheti hai
aap ke aalam mein hum jab hote hain

naa peete toh pyaas nahin lagti maazi
jo peete hain woh tishnaalab hote hain

 

 

 

 

Thursday, August 30, 2012

dil jalaane dijiye

dil jalaane dijiye
gham ko maane dijiye

jal rahaa hai umr bhar
ab bujhaane dijiye

waqt hai uljha hua
beet jaane dijiye

khushk hain lab shaher ke
kuchh fasaane dijiye

ik ghazal hai honth par
gungunaane dijiye

parindon ka kya kasoor
aur daane dijiye

aankh ko kya kosna
dil ko taane dijiye

ek aansoo shaam ka
jhilmilaane dijiye

saaf kahiye jo bhi hai
kyun bahaane dijiye

lijiye kuchh din naye
khat puraane dijiye

dil ki fitrat ekbaar
aazmaane dijiye

maazi hai dar par khada
ab toh aane dijiye

Thursday, July 19, 2012

dasht aabaad banaa baitha hai

dasht aabaad banaa baitha hai
woh yaar jahaan jahaan baitha hai

khwaab toh ud chuke the kab ke par
eh tere aankh pe kya baitha hai

chehere se yeh pataa chalta hai
dil mein ik raaz chhupa baitha hai

thami hai zoron ki baarish, ab bass
hawa ke paas dhuaan baitha hai

aankh se pyaas bujha sakta tha
kamwaqt dil bhi laga baitha hai

ussi ke dil mein kuchh khalal si hai
wohi, jo sab se juda baitha hai

hai yeh mehfil naqaabwaalon ki
kya pataa kaun kahaan baitha hai

har ek pet mein palta hai bhookh
toh kya ke dil mein khuda baitha hai

tujh se achcha bhi tujh mein hai maazi
tujh hi mein tujh se bura baitha hai


Tuesday, May 22, 2012

koi girta sa khwaab ho jaise

koi girta sa khwaab ho jaise
neend yun hi kharaab ho jaise

yeh hawa thehrti nahi hai kahin
dil-e-khanakharaab ho jaise

laakh koshish kiye, nahin utraa
chehera khud naqaab ho jaise

aise takte hain tere khat ki raah
aakhri yeh jawaab ho jaise

kisi ki baat meethi lagti hai
yaar ke ghar sharaab ho jaise

paas rehte ho par nahin dikhte
raat mein aaftaab ho jaise

jaane kyun yaad se nahin jaati
khoi hui qitaab ho jaise

aise karche hai apne din maazi
umr kuchh behisaab ho jaise

dushman the jo, haath mein khanjar rakhte the


dushman the jo, haath mein khanjar rakhte the
kuchh the dost, woh bhi chhupa kar rakhte the

ab behte hain thhande mithhe pani mein
hum jo dil mein chhote paththar rakhte the

ab jo kuchh bhi hota hai, seh lete hain
ek zamaana woh bhi tha, sar rakhte the

un cheezon ka fard tumhaare paas hi hai
jo kuchh bhi hum apne andar rakhte the

ab toh ghar ke andar hi bazaar lagi
tab chappal bhi ghar ke baahar rakhte the

kab aa jaaye bina bulaaye woh mehmaan
namak zahen mein, zubaan pe shakkar rakhte the

jalte bujhte rekhaayein sab raakh huin
mutthi mein hum dhoop sukha kar rakhte the

insaanon ko bhi khwaahish thi udne ki
katne se pehle woh bhi par rakhte the

kaam se khush the, nakaami se bhi khush the
tere ilaake mein jo daftar rakhte the

sab logon ke ek se rang honge maazi
aisi hasrat pehle aksar rakhte the

muft ka gham piya nahin karte


muft ka gham piya nahin karte
yun ghut kar jiya nahin karte

pataa toh hai mera ik chhota sa
har ek ko diya nahin karte

dikhaate bhi nahin kisi ko par
jeb khud ki siya nahin karte

aadat-e-soch jaati raheti hai
baat zyada kiya nahin karte

woh hum hi hain jo bhatak jaate hain
raastein ghaltiyaan nahin karte

woh chaahein harf hon ke paise hon
udhaar mein liya nahin karte

aadmi bastiyon mein rahete hain
parindein aashiyaan nahin karte

kab se chupchap huye hain maazi
aajkal kaafiya nahin karte

jab kabhi lambi saans leta hoon

jab kabhi lambi saans leta hoon
aap ke aas paas leta hoon

shaam ke waqt tahelne ke liye
raastein kuchh udaas leta hoon

yaad aate ho, ro nahin sakta
yaad karte ho, khaans leta hoon

zindagi zindagi bani kab hai
saans lena hai, saans leta hoon

dariya talak pohochne ke liye
saheraaon se pyaas leta hoon

har ek aah ke badle maazi
ik tamanna-e-khaas leta hoon

hayaat odh liya


hayaat odh liya ik maheen bekhudi se
humme lagaav raha maut se na zindagi se

humaare shahar ke toh khair aur hain andaaz
yahaan to har kisi ko pyar hoga har kisi se

tab aur koi chalte chalte thhaher jaata tha
ab aur koi guzarta hoga uss galee se

abhi bhi honth lagaata hoon to yaad aata hai
woh roz chaay chhalakna tumhaare tashtaree se

badan pe haath rakkho, saans ley lo saaye mein
darakht baat nahin karta hai aadmi se

tumhaare dar se koi zindaa laut-ta hi nahin
na maraa berukhi se jo, marega saadgi se

yeh log jhagadte hain toh jagadne do maazi
tum apne ghar mein raho, kaam rakkho shaayri se

Monday, May 21, 2012

paas rahete ho gungunaate ho


paas rahete ho gungunaate ho
dur jaate ho bhool jaate ho

ik samandar ki khnoj thi mujhko
tum mujhe sehra kyun dikhaate ho

honth ke do sirey bataate hain
dil hi dil mein jo muskuraate ho

raatbhar kal so nahi paaye
subah yeh sab ko kyun bataate ho

ik mera shahar hai paara paara
ik ho tum baarbaar aate ho

zindagi dost nahin hai maazi
kyun usey naam se bulaate ho




unke khat jab milte the


unke khat jab milte the
maano mansab milte the

ek zamaana aisa tha
baaton se lab milte the

chhatri tanha raheti thi
baarish mein jab milte the

chup baithe guzre hai din
yaaron se kab milte the

sadiyon jaise din guzrein
unse har shab milte the

tab logon mein sohbat thin
mazhab mazhab milte the

kaam nahin raheta tha kuchh
bass bematlab milte the

kahaan gaye woh din maazi
ghazlein jab tab milte the