Tuesday, May 22, 2012

hayaat odh liya


hayaat odh liya ik maheen bekhudi se
humme lagaav raha maut se na zindagi se

humaare shahar ke toh khair aur hain andaaz
yahaan to har kisi ko pyar hoga har kisi se

tab aur koi chalte chalte thhaher jaata tha
ab aur koi guzarta hoga uss galee se

abhi bhi honth lagaata hoon to yaad aata hai
woh roz chaay chhalakna tumhaare tashtaree se

badan pe haath rakkho, saans ley lo saaye mein
darakht baat nahin karta hai aadmi se

tumhaare dar se koi zindaa laut-ta hi nahin
na maraa berukhi se jo, marega saadgi se

yeh log jhagadte hain toh jagadne do maazi
tum apne ghar mein raho, kaam rakkho shaayri se

No comments:

Post a Comment