koi
girta sa khwaab ho jaise
neend yun hi kharaab ho jaise
neend yun hi kharaab ho jaise
yeh
hawa thehrti nahi hai kahin
dil-e-khanakharaab
ho jaise
laakh
koshish kiye, nahin utraa
chehera
khud naqaab ho jaise
aise
takte hain tere khat ki raah
aakhri
yeh jawaab ho jaise
kisi
ki baat meethi lagti hai
yaar
ke ghar sharaab ho jaise
paas
rehte ho par nahin dikhte
raat
mein aaftaab ho jaise
jaane
kyun yaad se nahin jaati
khoi
hui qitaab ho jaise
aise
karche hai apne din maazi
umr
kuchh behisaab ho jaise
No comments:
Post a Comment