Tuesday, May 22, 2012

dushman the jo, haath mein khanjar rakhte the


dushman the jo, haath mein khanjar rakhte the
kuchh the dost, woh bhi chhupa kar rakhte the

ab behte hain thhande mithhe pani mein
hum jo dil mein chhote paththar rakhte the

ab jo kuchh bhi hota hai, seh lete hain
ek zamaana woh bhi tha, sar rakhte the

un cheezon ka fard tumhaare paas hi hai
jo kuchh bhi hum apne andar rakhte the

ab toh ghar ke andar hi bazaar lagi
tab chappal bhi ghar ke baahar rakhte the

kab aa jaaye bina bulaaye woh mehmaan
namak zahen mein, zubaan pe shakkar rakhte the

jalte bujhte rekhaayein sab raakh huin
mutthi mein hum dhoop sukha kar rakhte the

insaanon ko bhi khwaahish thi udne ki
katne se pehle woh bhi par rakhte the

kaam se khush the, nakaami se bhi khush the
tere ilaake mein jo daftar rakhte the

sab logon ke ek se rang honge maazi
aisi hasrat pehle aksar rakhte the

No comments:

Post a Comment