Thursday, May 17, 2012

kuchh naksh hai zahen mein


kuchh naksh hai zahen mein jo khota nahi
yun hi to koi dhaga pirota nahi

andar pada hai sukha, kuaan udaas hai
pehle pata jo chalta main rota nahi

aayega kab samajh mein akl ki khudaaon ko
koi bhi kaam dusre se chhota nahi

woh boltein bohot hain, mani sunta hoon kam
arsa guzar gaya hai, samjhauta nahi

shajar yeh saaya dega aur phir bhi katega
yeh jaanta agar toh main bota nahi

mashoor ho gaye ho, sheeshein bhi band hain
kya koi abr ab tumhein bhigota nahi

phir neend bhi bikte honge unche daam par
suna hai tera shaher kabhi sota nahi

chalo phir usko dhoondhein koi doosri gali
maazi toh kabhi apne ghar mein hota nahi

No comments:

Post a Comment