jo
hai humaara wohi bohot hai
yeh
baat unko khali bohot hai
yeh
zardiyon ka banega mausam
ke
dhoop abke chadhi bohot hai
kabhi
to aao ke hum bhi dekhein
tumhaari
baatein suni bohot hai
yeh
pyar dil ki namak ho jaise
kabhi
hai thoda, kabhi bohot hai
na
mil sakein hum rahegi koshish
tere
shaher mein gali bohot hai
yeh
kaisa fitrat hai daulaton ka
kahin
nahi hai, kahin bohot hai
baat
baat pe waqt ka pehra
tumhaare
ghar mein ghadi bohot hai
jo
rang jaati rahi zahen ki
toh
log samjhein dhuli bohot hai
ab
aur maazi ko chahiye kya
tum
aa gaye ho yehi bohot hai
No comments:
Post a Comment