Friday, May 18, 2012

khatm hua sab par aas likhna


khatm hua sab par aas likhna
yeh roz marre ko khaas likhna

ajab zamaane ka falsafa hai
mare huye ko udaas likhna

woh baazuon ki kalam hi jaanein
khule badan pe libaas likhna

gale mein fandaa hai zindagi ka
atak bhi jaaye to saans likhna

agar ho sahera toh dhoop chunna
agar ho dariya toh pyaas likhna

yehi hai dastoor-e-duniya maazi
pacchis dena pacchaas likhna

No comments:

Post a Comment