Sunday, May 13, 2012

rangeen nahin, khushboo nahin

rangeen nahin, khushboo nahin, mitha nahin lagta
uske baghair kuchh bhi achchha nahin lagta

aaye hi kyun jo chal diye saamaan utha ke tum
ghar mein pada hai jo kuchh mera nahin lagta

ab shaam ho chuki hai, rastein udaas hain
kya tere shaher mein bhi mela nahin lagta

is shaher mein hain kisse sabhi ke alag magar
koi yahaan meri tarha tanha nahin lagta

kuchh zakhm tar-o-taaza, kuchh dard puraane
ik nazm nibhaane mein kya kya nahin lagta

kiraayedaar utthe toh aabru bhi chal padi
do din huye darwaaze pe parda nahin lagta

har waqt yaad aao aisa bhi kya ho tum
sach yeh bhi hai ke koi tum sa nahin lagta

chalta hai saath saath woh, muddat guzar gayee
kya baat hai abhi bhi jo apna nahin lagta

sab daud phir rahe hain bachne ki fikr mein
saansein to chal rahin hain, zinda nahin lagta

sach ekbaar pahen li, sab jhoot utaar di
ab dhoop mein chalo toh chashma nahin lagta

soonsaan hai moholla, toota hai kahin kuchh
yeh ghar wohi hai lekin uska nahin lagta

woh paas hon toh dozakh dozakh kahaan rahe
woh dur hon toh kaaba kaaba nahin lagta

resham ka hai yeh dhaga tanha pada hua
tere rumaal se toh rishtaa nahin lagta

woh phir bulaayein dilli hum phir se chal diye
aasaani se milega mirza nahin lagta

hai aaj bhi gali mein kuchh shor sharaaba
ghar mein hi hoga maazi, nikla nahin lagta

No comments:

Post a Comment