kis muh se likkhun ab main berukhi ke qisse
resham ki hai zameen aur behti zaree ke qisse
dil, dosti, wafa, ghar, ehsaas, ilm, sohbat
kyun aaye ho sunaane pichhle sadi ke qisse
woh dhoop, woh dariche, woh dhool, woh dukaanein
peechha karein hain ab tak apni gali ke qisse
murdon ke shehr mein ab likkhun bhi to kya likkhun
samjhega kaun yahaan pe zindadili ke qisse
sehra ki jo kami hai uss se hi hai woh sehra
dariya ko kya sunaayein tishnaalabi ke qisse
main bhi bhula nahi hoon woh khat chhupaate chilmann
tumne bhi yaad rakkhe us ajnabee ke qisse
un ko mila nahi kuchh, kuchh mujh se kho gaya hai
hote hain ek jaise yeh bebasi ke qisse
yeh zindagi tumhari tanha tumhari kab hai
dekho to ghaur se hai is mein sabhi ke qisse
kya dekha tune maazi, sab kuchh jo hai yeh hi hai
kuchh waakaye khalish ke, kuchh aashiqi ke qisse