Tuesday, December 6, 2011

kabhi humara gumaan rakhna


kabhi humara gumaan rakhna
sawaal thoda asaan rakhna

mujhe to mushkil sa lag raha hai
tere shehr mein dukaan rakhna

hawa bhi kaisi chali hai ab ke
rumaal pe kuchh nishaan rakhna

hai jurm kaafi ke sochte hain
upar se muh mein zubaan rakhna

woh ghar abhi tak khula pada hai
chaaho to apna saamaan rakhna

woh ret ho ya ke ho samandar
bacha ke apna makaan rakhna

giregi kab neend shab se maazi
saare shehr ko viraan rakhna




No comments:

Post a Comment