sochun ke kya nazar karun tumhaare shaan mein
deewaar chaar hi hai apne makaan mein
saamaan jam gaye to phenke nahin jaate
kuchh fark hai abhi bhi dil aur dukaan mein
woh din bhi kya the saadgipasand thein sabhi
udte the jab parinde khule aasmaan mein
sab yaad kartein tujh ko raazi khushi magar
woh baat hi nahi thi teri daastaan mein
the aur bhi sawaal jo usne nahi kiya
kuchh mil gaya tha unko humaare bayaan mein
maazi tera yeh jurm tujhe kar gaya alag
shaayar banaa nahi tha koi khaandaan mein
No comments:
Post a Comment