Saturday, December 10, 2011

waqt uska hai


waqt uska hai, humne maana, chalta hai
apna kya hai, roz bahaana chalta hai

ek zamaana lagta hai khat aane mein
us khat se phir ek zamaana chalta hai

jhagda, dhanda, lambi, chaudi, chhoti baat
log aate hain to maikhana chalta hai

kis basti mein jeetein hain sab sohbat se
pyaar se zyaada taana baana chalta hai

uske muh se jo bhi nikley hai achha
jiske dum se aab-o-daana chalta hai

woh chup se aur main bhi anjaan rehta hoon
baaki kya hai, aana jaana chalta hai

shehr mein rishtein naye hain, baatein nayee hai ab
ik qissa hai jo ke puraana chalta hai

jurmpasand hai maazi yeh bhi jaane hain
kis mauke pe kya jurmaana chalta hai

No comments:

Post a Comment