Monday, December 5, 2011

udaayein khaak magar


udaayein khaak magar kis taraf hawa hogi
tumhe khabar lagi to aur dastaan hogi...
pataa tha kab se mujhe, woh dareecha-e-tanha
palatke dekhne ki aakhri wajaah hogi

jo bujh gaya hai sar-e-shaam to woh dil hoga
jo jal chuki hai saari raat woh shamma hogi

agar khushi hai, phir kahin koi sabab hoga
agar hai dard, iski koi to dawa hogi

gila jataane ki bhi hain ajeeb tarqeebein
hon dil se khush woh magar chehre se khafa hogi

tumhare naam se rishta jo jud gaya maazi
qareeb rehne ki kya aur bhi sazaa hogi





No comments:

Post a Comment