Wednesday, December 7, 2011

hai khub mashhoor tameez uski


hai khub mashhoor tameez uski
mere kadam hon dehleez uski

pada hai yun hi bekaar kab se
mere hawaale woh cheez uski

yeh chhat pe khushboo, hawa mein raunak
shaayad dhulii hai kameez uski

tum uske kamre mein jaao maazi
yeh baat kab thi azeez uski

No comments:

Post a Comment