tarkash-e-gham ko nishana chahiye
khat to bhejenge, thikana chahiye
in dinon bass dushmanon pe hai yakeen
doston ko aazmana chahiye
sheher ke har mod par hai jashn sa
mujh ko waapas woh viraana chahiye
hain sabhi baashinde us basti ke par
har kisi ko taana baana chahiye
manzilein duripasand hi thik hain
raaston ko paas laana chahiye
hai sitara aankh ka, kaafi nahi
shaam ho to jhilmilana chahiye
hai raqeebat maante hain hum bhi par
muddaton mein aana jaana chahiye
woh jo dariya hai usey hai khabar kya
ret par kyun shaamiyana chahiye
hai bura woh, phir bhi hai yeh aazroo
tujh ko maazi raas aana chahiye
No comments:
Post a Comment